Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2016

HUSSAIN TUM KO ZAMANA SALAAM KEHTA HAI

HUSSAIN TUM KO ZAMANA SALAAM KEHTA HAI....... Tumhare sajde ko kaaba salam kehta hai, Jalaal e quba e khazra salaam kehta hai, Chaman ka har gul wa guncha salaam kehta hai, Hussain tum ko zamana salaam kehta hai. Charaag wa masjid wa mimbar salaam kehte hain, Nabi rasool payamber salaam kehte hain, Ali wa Fatima Shabbar salaam kehte hain, Khuda gawaah ke nana salaam kehta hai. Khuda ki raah me sar ko kata diya tumne, Nabi ke deen pe ghar ko luta diya tumne, Nishaan e kufr ko yaksar mita diya tumne, Tumhe khuda bhi tumhara salaam kehta hai. Tumhein falak ke sitaare salaam kehte hain, Tumhein Quraan ke paare salaam kehte hain, Tumhein Haram ke minaare salaam kehte hain, Imaam tum ko Madina Salaam kehta hai. Sana Tumhari wazeefa hai mera Aabai, Tumhari madh to shewah hai mera mawlai, Bas ek nazar ho jo mujh par to meri ban aayi, Tumhara SAYYED shaida Salaam kehta hai. Written by: SAYEDUL ULLMA SAYED SHAH AALE MUSTAFA SAYED MIYA QADIRI BARKATI ALEYHE REHM